[youtube=http://in.youtube.com/watch?v=Br305LvPXJY]
Unki zulfein unke chehre se hata sakta nahi
Dil ki betaabi kisi surat chupa sakta nahi
kitni dilkash hain mohabat ki jawaan majbooriya
Saamne manzil hain aur paav badha sakta nahi
Meri zindagi mein aate
To kuch aur baat hoti -2
Meri zindagi mein aate
To kuch aur baat hoti -2
Yeh naseeb jagmagaate
To kuch aur baat hoti-2
(Kai baar mil chuki
Yeh haseen haseen nighaaein) -2
Wohi bekrariya hain
Na mili khushi ki raahein
Mere dil se dil milaate
To kuch aur baat hoti-2
Meri zindagi mein aate
To kuch aur baat hoti -2
(Mujhe kya garaj kisi se
Hase phool ya sitaare)-2
Hain meri nazar mein pheeke
Yeh jawaan jawaan nazare
Agar aap muskuraate
To kuch aur baat hoti -2
Meri zindagi mein aate
To kuch aur baat hoti -2
(Yeh khushi rahe salaamat
Yunhi jashn ho suhana) -2
Jise sun rahi hain duniya
Mere dil ka hain tarana
Mere saath tum bhin gaate
To kuch aur baat hoti -2
Meri zindagi mein aate
To kuch aur baat hoti -2
Yeh naseeb jagmagaate
To kuch aur baat hoti-2
Movie – Kanyadaan(1969)
Singer – Mohammad Rafi
Artist – Shashi Kapoor, Asha Parekh