Kabhi kabhi mere dil mein khyaal aata hain
Ke zindagi teri zulfon ki naram chaav mein guzar na paati
To shaadab ho bhin sakti thhi
Yeh ranjo gum ki shyaahi jo dil pe chaayi hain
Teri nazar ki shuvao mein kho bhin sakti thhi
Magar yeh ho na saka,
Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hain
Ke Tu nahi
Tera gum, teri zustazu bhin nahi
Guzar rahi hain kuch is tarah zindagi
Jaise, isse kisi  ke sahare ki aarzoo bhin nahi
Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahi hain andhero mein zindagi meri
Inhi andhero mein reh jaaunga kabhi khokar
Main jaanta hun meri humnafas
Magar yunhi
Kabhi kabhi mere dil mein khyaal aata hain
Kabhi kabhi mere dil mein khyaal aata hain
June 14th, 2009 | Published in Famous Dialogues