Likhe jo khat tujhe
woh teri yaad mein
hazaaron rang ke
nazaare ban gaye
sawera jab huya
to phool ban gaye
jo raat aayi to
sitaare ban gaye
Koyi nagma kahin goonja
kahan dil mein
yeh tu aayi
kahin chatki kali koyi
main yeh samjha, tu sharmaayi
koyi khushboo kahin bikhri
laga yeh zulf lehraayi
Likhe jo khat tujhe...
Fiza rangeen, adaa rangeen
yeh ithlaana, yeh sharmaana
yeh angdhaayi, Yeh tanhaayi
yeh tarsa kar, chale jaana
bana de ga nahi kisko
jawaan jadoo yeh deewana
Likhe jo khat tujhe..
jahan tu hai, wahan main hoon
mere dil ki tu dhadhkan hai
musafir main tu manzil hai
main pyaasa hoon tu saawan hai
meri duniya yeh nazre hain
meri jannat yeh daaman hai
Likhe jo khat tujhe...
Movie - Kanyadaan(1968 )
lyricist - Neeraj
Singer - Mohammmad Rafi
Artist - Shashi Kapoor, Asha Parekh
Likhe jo khat tujhe
August 14th, 2008 | Published in Hindi songs