(Tujhse naraaz nahi zindagi hairaan hun main
Hoo hairaan hun main
Tere masoom sawaalon se pareshaan hun main
Hoo pareshaan hun main) -2
(Jeene ke liye socha hi nahi
Dard sambhalne honge) -2
Muskuraaye to muskuraane ke
Karz utaarne honge
Ho muskurau kabhi to lagta hain
Jaise hontho pe karz rakha hain
Tujhse naraaz nahi zindagi hairaan hun main
Hoo hairaan hun main
(Zindagi tere gum ne hamein
Rishte naye samjhaaye) -2
Mile jo hamein
Dhoop mein mile
Chaav ke thande saaye
Hoo tujhse naraaz nahi zindagi hairaan hun main
hoo hairaan hun main
(aaj agar bhar aayi hain
boonde baras jaayengi) -2
kal kya pata inke liye
aankhein taras jaayegi
hoo jaane kab gum hua kaha khoya
ek aansu chupa ke rakha thha
Hoo tujhse naraaz nahi zindagi hairaan hun main
Hoo hairaan hun main
Tere masoom sawaalon se pareshaan hun main
Hoo pareshaan hun main -3
Movie – Masoom (1983)
Music Director – R.D. Burman
Singer – Bhupinder
Artist – Naseeruddin shah, Shabana Azmi, Supriya Pathak, Saeed Jaffery, Jugal Hansraj, Urmila Matondkar