jab ZERO diya mere bharat ne
bharat ne mere bharat ne
duniya ko tab geenti aayi
taaron ki bhaasha bharat ne
duniya ko pahle sikhlaayi
deta na dashamlag bharat to
yun chaand pe jaana mushqil thha
dharti aur chaand ki doori ka
andaaza lagana mushqil thha
sabhyata jahan pahle aayi
sabhyata jahan pahle aayi
pahle janmi hain jaha pe kalaa
apna bharat woh bharat hain
jiske piche sansaar chala
sansaar chala aur aage bhada
yun aage bhada bhadta hi gaya
bhagwaan kare yeh aur bhade
bhadta hi rahe aur phoole phale
bhadta hi rahe aur phoole phale
chup kyun ho gaye aur sunao…
hmmm hmmm hmmm hmmm
hoho hohoo hoho hoohoo
hain preet jahan kee reet sada
hain preet jahan kee reet sada
hain preet jahan kee reet sada
main geet wahan ke gaata hun
bharat ka rahne waala hun
bharat ki baat sunata hun
hain preet jahan kee reet sada
hoho hohoo hoho hoohoo
kaale gore ka bhed nahi
har dil se hamara naata hain
kuch aur na aata ho humko
hamein pyaar nibhana aata hain
jise maan chuki saari duniya
ho jise maan chuki saari duniya
main baat
main baat wohi dohrata hun
bharat ka rahne waala hun
bharat ki baat sunata hun
hain preet jahan kee reet sada
jeete ho kisi ne desh to kya
hamne to dilo ko jeeta hain
jahan ram abhi tak hain nar mein
naari mein abhi tak sita hain
itne paawan hain log jahan
itne paawan hain log jahan
main neet neet
main neet neet sheesh jhukata hun
bharat ka rahne waala hun
bharat ki baat sunata hun
hoho hohoo hoho hoohoo
itni mamta nadiyo ko bhin
jahan maata keh kar bulate hain
itna aadar insaan to kya
pathar bhin puje jaate hain
us dharti pe maine janam liya
ho us dharti pe maine janam liya
yeh soch
yeh soch ke main itrata hun
bharat ka rahne waala hun
bharat ki baat sunata hun
hain preet jahan kee reet sada
hoho hohoo hoho hoohoo
Movie : Purab Aur Paschim
Singer : Mahendra Kapoor
Actor : Manoj Kumar