Tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jao

September 1st, 2009  |  Published in Gazals

Tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jao
Tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jao
yeh mausam hi badal jaaye agar tum milne aa jao 

mujhe gum hain ke maine zindagi mein kuch nahi paaya
mujhe gum hain
mujhe gum hain ke maine zindagi mein kuch nahi paaya

yeh gum dil se nikal jaaye agar tum milne aa jaao

yeh duniya bhar ke jhagde, ghar ke kisse, kaam ki baatein 

bala har ek tal jaaye agar tum milne aa jao
yeh mausam hi badal jaaye agar tum milne aa jao

Tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jao

nahi milte ho mujhse tum to sab humdard hain mere
nahi milte ho
nahi milte ho mujhse tum to sab humdard hain mere

zamana mujhse jal jaaye agar tum milne aa jao 

Tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jao
yeh mausam hi badal jaaye agar tum milne aa jao
 
Tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jao
agar tum milne aa jao
agar tum milne aa jao
agar tum milne aa jao

Subscribe

Get articles in your inbox.

Enter your email address:

Join Us

Twitter Chatter

Recommendations

Archives

Categories