zindagi yun hui basar tanha

September 1st, 2009  |  Published in Gazals








zindagi yun hui basar tanha
zindagi yun hui basar tanha
kaafila saath aur safar tanha
zindagi yun hui basar tanha 

apne saaye chaunk jaate hain
apne saaye chaunk jaate hain
umar guzri hain is kadar tanha
umar guzri hain is kadar tanha 

raat bhar bolte hain sannaate
raat bhar bolte hain sannaate
raat kaatein koi kidhar tanha
raat kaatein koi kidhar tanha 

dun guzarta nahi hain logon mein
dun guzarta nahi hain logon mein
raat hoti nahi basar tanha
raat hoti nahi basar tanha

humne darwaaze tak to dekha thha
humne darwaaze tak to dekha thha
phir na jaane gaye kidhar tanha
phir na jaane gaye kidhar tanha 

kaafila saath aur safar tanha
zindagi yun hui basar tanha

Subscribe

Get articles in your inbox.

Enter your email address:

Join Us

Twitter Chatter


Recommendations

Archives

Categories