koi yeh kaise bataaye ki woh tanha kyun hain
woh jo apna thha wahi aur kisi ka kyun hain
yahi duniya hain to phir aisi yeh duniya kyun hain
yahi hota hain to phir aakhir yeh hota kyun hainÂ
ek zara haath badha de to pakadle daaman
uske seene mein samaa jaaye hamari dhadkan
itni kurbat hain to phir faasla itna kyun hainÂ
dil-e-barbaad se nikla nahi ab tak koi
ek lute ghar par diya karta hain dastak koi
aas jo tut gayi phir se bandhata kyun hainÂ
tum asar rat ka kaho, ya isse gum ka rishta
kahte hain pyaar ka rishta hain janam ka rishta
hain janam ka jo yeh rishta to badalta kyun hain